zehn mein yaad teri do hi ghaDi rahti hai
zehn meñ yaad tirī do hī ghaḌī rahtī hai
baad phir is ke to marne kī paḌī rahtī hai
ghar tire baad akele to sañbhaltā hī nahīñ
jo jahāñ chiiz paḌī hai so paḌī rahtī hai
pahle sulgāte the ham dil ko dhuāñ uThtā thā
ab to cigarette bhī Dibbī meñ paḌī rahtī hai
dekh kar zinda mujhe kahte haiñ dushman mere
ye vahī kiil hai jo dil meñ gaḌī rahtī hai
chhīn hī legī ye sāñseñ jo mirī aañkh lage
maut sirhāne har ik vaqt khaḌī rahtī hai
zehn mein yaad teri do hi ghaDi rahti hai
baad phir is ke to marne ki paDi rahti hai
ghar tere baad akele to sanbhalta hi nahin
jo jahan chiz paDi hai so paDi rahti hai
pahle sulgate the hum dil ko dhuan uThta tha
ab to cigarette bhi Dibbi mein paDi rahti hai
dekh kar zinda mujhe kahte hain dushman mere
ye wahi kil hai jo dil mein gaDi rahti hai
chhin hi legi ye sansen jo meri aankh lage
maut sirhane har ek waqt khaDi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.