zehn-o-dil mein basi hain diwaren
zehn-o-dil meñ basī haiñ dīvāreñ
jaane kab se khaḌī haiñ dīvāreñ
dhuup utre bhī kaise āñgan meñ
har taraf to khaḌī haiñ dīvāreñ
sahn meñ ek bhī nahīñ dīvār
zehn meñ uTh rahī haiñ dīvāreñ
do sage bhā.iyoñ kā jhagḌā hai
faisla kar rahī haiñ dīvāreñ
merā chehra mujhe dikhātī haiñ
aa.ina ban ga.ī haiñ dīvāreñ
kachchī miTTī ke mere ghar ke liye
āñdhiy.oñ se laḌī haiñ dīvāreñ
kaan dhar kar suno ki sadiyoñ kī
dāstāñ kah rahī haiñ dīvāreñ
aisī dīvāreñ sāmne haiñ mire
jin ke pīchhe khaḌī haiñ dīvāreñ
merā qad bhī bahut baḌā hai magar
mere qad se baḌī haiñ dīvāreñ
'ābid' uḌne kā ḳhvāb kyā dekheñ
har taraf to khaḌī haiñ dīvāreñ
zehn-o-dil mein basi hain diwaren
jaane kab se khaDi hain diwaren
dhup utre bhi kaise aangan mein
har taraf to khaDi hain diwaren
sahn mein ek bhi nahin diwar
zehn mein uTh rahi hain diwaren
do sage bhaiyon ka jhagDa hai
faisla kar rahi hain diwaren
mera chehra mujhe dikhati hain
aaina ban gai hain diwaren
kachchi miTTi ke mere ghar ke liye
aandhiyon se laDi hain diwaren
kan dhar kar suno ki sadiyon ki
dastan kah rahi hain diwaren
aisi diwaren samne hain mere
jin ke pichhe khaDi hain diwaren
mera qad bhi bahut baDa hai magar
mere qad se baDi hain diwaren
'abid' uDne ka KHwab kya dekhen
har taraf to khaDi hain diwaren
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.