zehn-o-dil mein hai jang ya kuchh aur
zehn-o-dil meñ hai jañg yā kuchh aur
ho rahā huuñ malañg yā kuchh aur
haal kyā ho gayā samā.at kā
terī bāteñ thiiñ sañg yā kuchh aur
koī utrā hai jhiil meñ dil kī
uTh rahī hai tarañg yā kuchh aur
tere hāthoñ meñ Dor hai yā dil
ho gayā huuñ patañg yā kuchh aur
koshisheñ rā.egāñ manāne kī
mujh ko hī thā na Dhañg yā kuchh aur
mushkileñ roz baḌhtī jaatī haiñ
vo sitamgar hai tañg yā kuchh aur
dil meñ hai aas aarzū vahshat
be-qarārī umañg yā kuchh aur
hausle mere misl koh hue
terī chāhat hai sañg yā kuchh aur
mere sheroñ pe ho ga.e sākit
yaar mere haiñ dañg yā kuchh aur
un ke hāthoñ meñ āj-kal 'rāġhib'
hai rifāqat kā rañg yā kuchh aur
zehn-o-dil mein hai jang ya kuchh aur
ho raha hun malang ya kuchh aur
haal kya ho gaya samaat ka
teri baaten thin sang ya kuchh aur
koi utra hai jhil mein dil ki
uTh rahi hai tarang ya kuchh aur
tere hathon mein Dor hai ya dil
ho gaya hun patang ya kuchh aur
koshishen raegan manane ki
mujh ko hi tha na Dhang ya kuchh aur
mushkilen roz baDhti jati hain
wo sitamgar hai tang ya kuchh aur
dil mein hai aas aarzu wahshat
be-qarari umang ya kuchh aur
hausle mere misl koh hue
teri chahat hai sang ya kuchh aur
mere sheron pe ho gae sakit
yar mere hain dang ya kuchh aur
un ke hathon mein aaj-kal 'raghib'
hai rifaqat ka rang ya kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.