zehn-o-dil mein pichhli shab ki dastan to saf ho
zehn-o-dil meñ pichhlī shab kī dāstāñ to saaf ho
jhilmilā.eñge sitāre āsmāñ to saaf ho
ġhair ko to chhoḌ us kā jo bhī ho radd-e-amal
baat lekin tere mere darmiyāñ to saaf ho
rah-ravī jaarī rahe be-shak ho manzil ke ḳhilāf
kārvāñ par hukm mīr-e-kārvāñ to saaf ho
dil samajh legā ishāra aap kar ke dekhiye
shart hai lekin nigāhoñ kī zabāñ to saaf ho
kis tarah aa.e nazar 'bebāk' ab zaḳhm-e-jigar
rauzan-e-dil vā ho chashm-e-ḳhūñ-chakāñ to saaf ho
zehn-o-dil mein pichhli shab ki dastan to saf ho
jhilmilaenge sitare aasman to saf ho
ghair ko to chhoD us ka jo bhi ho radd-e-amal
baat lekin tere mere darmiyan to saf ho
rah-rawi jari rahe be-shak ho manzil ke KHilaf
karwan par hukm mir-e-karwan to saf ho
dil samajh lega ishaara aap kar ke dekhiye
shart hai lekin nigahon ki zaban to saf ho
kis tarah aae nazar 'bebak' ab zaKHm-e-jigar
rauzan-e-dil wa ho chashm-e-KHun-chakan to saf ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.