zehn-o-dil par ghamon ke sae hain
zehn-o-dil par ġhamoñ ke saa.e haiñ
jo the apne vahī parā.e haiñ
rang bharne ko jazb-e-ulfat kā
ham ne ḳhāke ka.ī banā.e haiñ
raah se maiñ bhaTak nahīñ saktā
vaqt ne ruḳh na.e dikhā.e haiñ
aap ke ishq meñ yaqīñ kiije
saikḌoñ ranj-o-ġham uThā.e haiñ
jin se tauhīn thī vafāoñ kī
raaz siine meñ vo chhupā.e haiñ
aa ga.ī bāġhbāñ pe har tohmat
āshiyāñ barq ne jalā.e haiñ
log kahte haiñ sunñe vāloñ ne
sher 'ādil' ke gungunā.e haiñ
zehn-o-dil par ghamon ke sae hain
jo the apne wahi parae hain
rang bharne ko jazb-e-ulfat ka
hum ne KHake kai banae hain
rah se main bhaTak nahin sakta
waqt ne ruKH nae dikhae hain
aap ke ishq mein yaqin kije
saikDon ranj-o-gham uThae hain
jin se tauhin thi wafaon ki
raaz sine mein wo chhupae hain
aa gai baghban pe har tohmat
aashiyan barq ne jalae hain
log kahte hain sunne walon ne
sher 'adil' ke gungunae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.