zehn par chha gai maut ki be-hisi nind aane lagi
zehn par chhā ga.ī maut kī be-hisī niiñd aane lagī
DhūñDhtā huuñ añdheroñ meñ āsūdgī niiñd aane lagī
bhāgte bhāgte maut ke saa.e se ḳhud hī dhuñdlā ga.e
sochte sochte zindagī zindagī niiñd aane lagī
haiñ isī ahd meñ so tasavvur hasīñ koī apnā nahīñ
thak ga.ī hai mire shauq kī sādgī niiñd aane lagī
ḳhatm haiñ roz-o-shab kī pareshāniyāñ aur hairāniyāñ
thī vo kyā shai jo ab tak nahīñ mil sakī niiñd aane lagī
hairat-añgez rangoñ meñ lipTī huī muztarib naġhmagī
aaj tak apnī lai meñ nahīñ Dhal sakī niiñd aane lagī
hausloñ kā hī anjām haiñ tajrabe bas bhare
āshtī āshtī āshtī āshtī niiñd aane lagī
kyā milā naġhm-o-rañg ke shauq se she'r ke zauq se
ik chubhan ik dukhan ek vāmāñdgī niiñd aane lagī
zehn par chha gai maut ki be-hisi nind aane lagi
DhunDhta hun andheron mein aasudgi nind aane lagi
bhagte bhagte maut ke sae se KHud hi dhundla gae
sochte sochte zindagi zindagi nind aane lagi
hain isi ahd mein so tasawwur hasin koi apna nahin
thak gai hai mere shauq ki sadgi nind aane lagi
KHatm hain roz-o-shab ki pareshaniyan aur hairaniyan
thi wo kya shai jo ab tak nahin mil saki nind aane lagi
hairat-angez rangon mein lipTi hui muztarib naghmagi
aaj tak apni lai mein nahin Dhal saki nind aane lagi
hauslon ka hi anjam hain tajrabe bas bhare
aashti aashti aashti aashti nind aane lagi
kya mila naghm-o-rang ke shauq se she'r ke zauq se
ek chubhan ek dukhan ek wamandgi nind aane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.