zehn par jab dard KHamoshi ki chadar tanta hai
zehn par jab dard ḳhāmoshī kī chādar tāntā hai
qatra qatra aañkh se lafz-o-ma.ānī chhāntā hai
har kas-o-nā-kas ko raas aatī nahīñ āvāra-gardī
rāste us par hī khulte haiñ jo chalnā jāntā hai
naqsh-e-pārīna haTā kar maiñ na.e paikar tarāshūñ
kūza-gar kankar haTā kar jaise miTTī sāntā hai
vo hai dīvāna use gumnāmī o tash.hīr se kyā
ḳhāmushī se kar guzartā hai jo dil meñ Thāntā hai
kor-chashmī ne bikherā husn kā shīrāza varna
ishtihārī jism bhī poshīdgī ko māntā hai
ye sila bhī kam nahīñ 'āzim' tirī mashq-e-suḳhan kā
koī ġhazloñ ke havāle se tujhe pahchāntā hai
zehn par jab dard KHamoshi ki chadar tanta hai
qatra qatra aankh se lafz-o-maani chhanta hai
har kas-o-na-kas ko ras aati nahin aawara-gardi
raste us par hi khulte hain jo chalna jaanta hai
naqsh-e-parina haTa kar main nae paikar tarashun
kuza-gar kankar haTa kar jaise miTTi santa hai
wo hai diwana use gumnami o tashhir se kya
KHamushi se kar guzarta hai jo dil mein Thanta hai
kor-chashmi ne bikhera husn ka shiraaza warna
ishtihaari jism bhi poshidgi ko manta hai
ye sila bhi kam nahin 'azim' teri mashq-e-suKHan ka
koi ghazlon ke hawale se tujhe pahchanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.