zehn se shoala-e-ehsas bujhane aae
zehn se sho.ala-e-ehsās bujhāne aa.e
aaj kuchh log mirā dard baTāne aa.e
ek mauhūm sahārā hai jiye jaane kā
aap vo ḳhvāb bhī āñkhoñ se churāne aa.e
aaj tahzīb kī bārūd bichhī hai har samt
kaun insāñ ko tabāhī se bachāne aa.e
khīñch kar baiThe haiñ kuchh log hisār-e-auhām
jis meñ himmat ho ye dīvār girāne aa.e
nafrat-o-buġhz kī āñdhī meñ janāb-e-'mehdī'
aap kyoñ sham.a mohabbat kī jalāne aa.e
zehn se shoala-e-ehsas bujhane aae
aaj kuchh log mera dard baTane aae
ek mauhum sahaara hai jiye jaane ka
aap wo KHwab bhi aankhon se churane aae
aaj tahzib ki barud bichhi hai har samt
kaun insan ko tabahi se bachane aae
khinch kar baiThe hain kuchh log hisar-e-auham
jis mein himmat ho ye diwar girane aae
nafrat-o-bughz ki aandhi mein janab-e-'mehdi'
aap kyon shama mohabbat ki jalane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.