zer-e-lab aap gungunae hain
zer-e-lab aap gungunā.e haiñ
dil meñ lākhoñ ḳhayāl aa.e haiñ
sochtā huuñ tire zamāne meñ
kyā kabhī ham bhī muskurā.e haiñ
mausam-e-gul kī tañg-dāmānī
phuul māñge the ḳhaar paa.e haiñ
terī mahfil meñ raushnī ke liye
āñsuoñ ke diye jalā.e haiñ
zer-e-lab aap gungunae hain
dil mein lakhon KHayal aae hain
sochta hun tere zamane mein
kya kabhi hum bhi muskurae hain
mausam-e-gul ki tang-damani
phul mange the KHar pae hain
teri mahfil mein raushni ke liye
aansuon ke diye jalae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.