zer-e-pa tha falak zamin nahin
zer-e-pā thā falak zamīn nahīñ
ye huā hai tumheñ yaqīn nahīñ
hijr donoñ qubūl kar ke jiye
film meñ aisā koī scene nahīñ
kaise saare zamāne kā hotā
tere jitnā to maiñ zahīn nahīñ
ham munāfiq hoñ gar kahīñ kah deñ
daa.eñ baa.eñ munāfiqīn nahīñ
ye tamāsha hai aur tamāshe meñ
jhūmtā saañp dekh biin nahīñ
ḳhāmushī hai miyāñ udāsī hai
shahr-e-dil meñ koī makīn nahīñ
aa gineñ kitne logoñ kī sāhib
shakl achchhī hai dil hasīn nahīñ
zer-e-pa tha falak zamin nahin
ye hua hai tumhein yaqin nahin
hijr donon qubul kar ke jiye
film mein aisa koi scene nahin
kaise sare zamane ka hota
tere jitna to main zahin nahin
hum munafiq hon gar kahin kah den
daen baen munafiqin nahin
ye tamasha hai aur tamashe mein
jhumta sanp dekh bin nahin
KHamushi hai miyan udasi hai
shahr-e-dil mein koi makin nahin
aa ginen kitne logon ki sahib
shakl achchhi hai dil hasin nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.