zid hamari dua se hoti hai
zid hamārī du'ā se hotī hai
ham se kyā ab ḳhudā se hotī hai
nāma-bar jā.egā havā se tez
shart bād-e-sabā se hotī hai
na jafā se hai mere dil ko qarār
na tasallī vafā se hotī hai
siine se jab uḌātī hai āñchal
khul ke bād-e-sabā se hotī hai
naz' meñ un se pher leñ āñkheñ
chaar aañkh ab qazā se hotī hai
sach to ye hai ki ranj-o-ġham se najāt
bāda-e-jāñ-fazā se hotī hai
chāragar ab du'ā ko haath uThā.eñ
ki aziyyat davā se hotī hai
donoñ pis pis ke rañg laate haiñ
chheḌ dil se hinā se hotī hai
ai junūñ nok-jhoñk kā hai mazā
ḳhaar se naqsh-e-pā se hotī hai
but ulajhte haiñ roz mujh se 'riyāz'
roz mujh bā-ḳhudā se hotī hai
zid hamari du'a se hoti hai
hum se kya ab KHuda se hoti hai
nama-bar jaega hawa se tez
shart baad-e-saba se hoti hai
na jafa se hai mere dil ko qarar
na tasalli wafa se hoti hai
sine se jab uDati hai aanchal
khul ke baad-e-saba se hoti hai
naz' mein un se pher len aankhen
chaar aankh ab qaza se hoti hai
sach to ye hai ki ranj-o-gham se najat
baada-e-jaan-faza se hoti hai
chaaragar ab du'a ko hath uThaen
ki aziyyat dawa se hoti hai
donon pis pis ke rang late hain
chheD dil se hina se hoti hai
ai junun nok-jhonk ka hai maza
KHar se naqsh-e-pa se hoti hai
but ulajhte hain roz mujh se 'riyaz'
roz mujh ba-KHuda se hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.