zid pe aDne mein der kya lagti
zid pe aḌne meñ der kyā lagtī
us ko paane meñ der kyā lagtī
ek kirdār thā kahānī meñ
ḳhatm hone meñ der kyā lagtī
ishq thā to ḳhayāl rakkhā bhī
zaḳhm dene meñ der kyā lagtī
zindagī maut se bhī kyā kam thī
zahr khāne meñ der kyā lagtī
paas ik āftāb thā mere
lau jalāne meñ der kyā lagtī
zaḳhm achchhā nahīñ milā varna
jaan jaane meñ der kyā lagtī
chāhiye hī nahīñ use mujh sā
maiñ huuñ kahne meñ der kyā lagtī
vo ishāra agar mujhe kartā
ek hone meñ der kyā lagtī
zid pe aDne mein der kya lagti
us ko pane mein der kya lagti
ek kirdar tha kahani mein
KHatm hone mein der kya lagti
ishq tha to KHayal rakkha bhi
zaKHm dene mein der kya lagti
zindagi maut se bhi kya kam thi
zahr khane mein der kya lagti
pas ek aaftab tha mere
lau jalane mein der kya lagti
zaKHm achchha nahin mila warna
jaan jaane mein der kya lagti
chahiye hi nahin use mujh sa
main hun kahne mein der kya lagti
wo ishaara agar mujhe karta
ek hone mein der kya lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.