zid pe hai duniya to zid pe tera diwana bhi hai
zid pe hai duniyā to zid pe terā dīvāna bhī hai
paañv meñ zanjīr bhī terī taraf jaanā bhī hai
TuuT kar dil ne hamāre kal tujhe chāhā bhī thā
TuuT kar dil ne hamāre aaj ye jaanā bhī hai
miir sāhab dekhiye aa kar hamāre daur meñ
ab ġhazal hai ā.īna aur ā.īna-ḳhāna bhī hai
dekh le jo bhī inheñ vo chhoḌ de piinī sharāb
ye tirī āñkheñ nahīñ haiñ ek mai-ḳhāna bhī hai
dekh le kaise manāyā hijr terā jān-e-jāñ
dard-e-dil āñkhoñ meñ aañsū aur vīrāna bhī hai
zid pe hai duniya to zid pe tera diwana bhi hai
panw mein zanjir bhi teri taraf jaana bhi hai
TuT kar dil ne hamare kal tujhe chaha bhi tha
TuT kar dil ne hamare aaj ye jaana bhi hai
mir sahab dekhiye aa kar hamare daur mein
ab ghazal hai aaina aur aaina-KHana bhi hai
dekh le jo bhi inhen wo chhoD de pini sharab
ye teri aankhen nahin hain ek mai-KHana bhi hai
dekh le kaise manaya hijr tera jaan-e-jaan
dard-e-dil aankhon mein aansu aur virana bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.