ziddi aDiyal hai KHurafat pe ruk jati hai
ziddī aḌiyal hai ḳhurāfāt pe ruk jaatī hai
soch us shaḳhs ke hālāt pe ruk jaatī hai
ishq mohlat hī nahīñ detā jahāñ-dāri kā
har tamannā to usī zaat pe ruk jaatī hai
ashk tham jaate haiñ badle hue mausam ke sabab
aur bārish kabhī jazbāt pe ruk jaatī hai
bhaa.ī kuchh zabt sikhā dūsre ghar jā.egī
terī beTī to savālāt pe ruk jaatī hai
zindagī ko kabhī de detī huuñ chaukhaT pe jagah
ye bhikāran isī ḳhairāt pe ruk jaatī hai
mere ash.ār kā me.aar hī kam hai shāyad
is liye daad bhī hazrāt pe ruk jaatī
ziddi aDiyal hai KHurafat pe ruk jati hai
soch us shaKHs ke haalat pe ruk jati hai
ishq mohlat hi nahin deta jahan-dari ka
har tamanna to usi zat pe ruk jati hai
ashk tham jate hain badle hue mausam ke sabab
aur barish kabhi jazbaat pe ruk jati hai
bhai kuchh zabt sikha dusre ghar jaegi
teri beTi to sawalat pe ruk jati hai
zindagi ko kabhi de deti hun chaukhaT pe jagah
ye bhikaran isi KHairaat pe ruk jati hai
mere ashaar ka mear hi kam hai shayad
is liye dad bhi hazraat pe ruk jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.