zinat-e-anjuman-e-naz na hone pae
zīnat-e-anjuman-e-nāz na hone paa.e
bul-havas ishq meñ mumtāz na hone paa.e
terī nafrat kā ayaañ raaz na hone paa.e
dil ko yuuñ toḌ ki āvāz na hone paa.e
dāstān-e-ġham-e-dil un ko sunānā hai to phir
koī pahlū nazar-andāz na hone paa.e
chashm-e-tar ne mirī ulfat kā bharam khol diyā
mere aañsū mire hamrāz na hone paa.e
zinat-e-anjuman-e-naz na hone pae
bul-hawas ishq mein mumtaz na hone pae
teri nafrat ka ayan raaz na hone pae
dil ko yun toD ki aawaz na hone pae
dastan-e-gham-e-dil un ko sunana hai to phir
koi pahlu nazar-andaz na hone pae
chashm-e-tar ne meri ulfat ka bharam khol diya
mere aansu mere hamraaz na hone pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.