Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zinat-e-bazm-e-gul-ruKHan hoga

Iqbal Umar

zinat-e-bazm-e-gul-ruKHan hoga

Iqbal Umar

MORE BYIqbal Umar

    zīnat-e-bazm-e-gul-ruḳhāñ hogā

    vo jo rad-karda-e-jahāñ hogā

    kuchh na socho rah-e-mohabbat meñ

    jo bhī hogā vo nā-gahāñ hogā

    phir vo nikle nazar churā.e hue

    phir kahīñ qatl-e-āshiqāñ hogā

    zaḳhm-e-dil jo khulā nahīñ ab tak

    vahī terā mizāj-dāñ hogā

    muddatoñ se sabā nahīñ aa.ī

    jaane kyā hāl-e-mahvashāñ hogā

    baḌh ke un madh-bharī nigāhoñ se

    kyā koī jām-e-arġhavāñ hogā

    terā va.ada vafā huā bhī to kyā

    terā 'iqbāl' phir kahāñ hogā

    zinat-e-bazm-e-gul-ruKHan hoga

    wo jo rad-karda-e-jahan hoga

    kuchh na socho rah-e-mohabbat mein

    jo bhi hoga wo na-gahan hoga

    phir wo nikle nazar churae hue

    phir kahin qatl-e-ashiqan hoga

    zaKHm-e-dil jo khula nahin ab tak

    wahi tera mizaj-dan hoga

    muddaton se saba nahin aai

    jaane kya haal-e-mahwashan hoga

    baDh ke un madh-bhari nigahon se

    kya koi jam-e-arghawan hoga

    tera wada wafa hua bhi to kya

    tera 'iqbaal' phir kahan hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now