zinat-e-shahr-e-wafa ku-e-butan hain kuchh log
zīnat-e-shahr-e-vafā kū-e-butāñ haiñ kuchh log
naqsh dhuñdle hī sahī sajda-kunāñ haiñ kuchh log
sāf-go pāk-nazar narm-zabāñ haiñ kuchh log
tab-e-nāzuk pe magar phir bhī girāñ haiñ kuchh log
sham-e-ehsās kī lau aur zarā tez karo
duur rah kar bhī qarīb-e-rag-e-jāñ haiñ kuchh log
aap kī merī vafāoñ kā yahāñ zikr hī kyā
miT ga.e aise ki qadmoñ ke nishāñ haiñ kuchh log
duur tak koī tasallī na kisī kā dāman
kis tavaqqo pe bhalā ashk-fishāñ haiñ kuchh log
apnī marzī se na hañste haiñ na ro sakte haiñ
aap kī bazm meñ aise bhī yahāñ haiñ kuchh log
kis ko andāza hai majrūh diloñ kā yaaro
bazm-e-ishrat meñ bhī mā.il-ba-fuġhāñ haiñ kuchh log
jiite jī un kā kabhī naam na lūñgā 'nayyar'
ḳhūn-e-tāza kī tarah dil meñ ravāñ haiñ kuchh log
zinat-e-shahr-e-wafa ku-e-butan hain kuchh log
naqsh dhundle hi sahi sajda-kunan hain kuchh log
saf-go pak-nazar narm-zaban hain kuchh log
tab-e-nazuk pe magar phir bhi giran hain kuchh log
sham-e-ehsas ki lau aur zara tez karo
dur rah kar bhi qarib-e-rag-e-jaan hain kuchh log
aap ki meri wafaon ka yahan zikr hi kya
miT gae aise ki qadmon ke nishan hain kuchh log
dur tak koi tasalli na kisi ka daman
kis tawaqqo pe bhala ashk-fishan hain kuchh log
apni marzi se na hanste hain na ro sakte hain
aap ki bazm mein aise bhi yahan hain kuchh log
kis ko andaza hai majruh dilon ka yaro
bazm-e-ishrat mein bhi mail-ba-fughan hain kuchh log
jite ji un ka kabhi nam na lunga 'nayyar'
KHun-e-taza ki tarah dil mein rawan hain kuchh log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.