zist aazar hui jati hai
ziist āzār huī jaatī hai
saañs talvār huī jaatī hai
jism be-kār huā jaatā hai
ruuh bedār huī jaatī hai
kaan se dil meñ utartī nahīñ baat
aur guftār huī jaatī hai
Dhal ke niklī hai haqīqat jab se
kuchh pur-asrār huī jaatī hai
ab to har zaḳhm kī muñh-band kalī
lab-e-iz.hār huī jaatī hai
phuul hī phuul haiñ har samt 'nadīm'
raah dushvār huī jaatī hai
zist aazar hui jati hai
sans talwar hui jati hai
jism be-kar hua jata hai
ruh bedar hui jati hai
kan se dil mein utarti nahin baat
aur guftar hui jati hai
Dhal ke nikli hai haqiqat jab se
kuchh pur-asrar hui jati hai
ab to har zaKHm ki munh-band kali
lab-e-izhaar hui jati hai
phul hi phul hain har samt 'nadim'
rah dushwar hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.