zist ka hasil jawani hai magar wo sin gaya
ziist kā hāsil javānī hai magar vo sin gayā
asl jo sarmāya-e-hastī thā ya.anī chhin gayā
ishq kī be-samtiyoñ kā us ne jab māñgā hisāb
uñgliyoñ par umr kī saarī bahāreñ gin gayā
ab to kam az kam ujaḌ jā ai dil-e-ḳhāna-ḳharāb
dhaḌkaneñ kaise ravāñ haiñ jab tirā sākin gayā
mil gayā yā pā liyā jo thā muqaddar kā likhā
dastaras se duur mumkin aur na nā-mumkin gayā
ġhair se gulfām us ko be-takalluf dekh kar
ek pal meñ e'tibār-e-zāhir-o-bātin gayā
zist ka hasil jawani hai magar wo sin gaya
asl jo sarmaya-e-hasti tha yani chhin gaya
ishq ki be-samtiyon ka us ne jab manga hisab
ungliyon par umr ki sari bahaaren gin gaya
ab to kam az kam ujaD ja ai dil-e-KHana-KHarab
dhaDkanen kaise rawan hain jab tera sakin gaya
mil gaya ya pa liya jo tha muqaddar ka likha
dastaras se dur mumkin aur na na-mumkin gaya
ghair se gulfam us ko be-takalluf dekh kar
ek pal mein e'tibar-e-zahir-o-baatin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.