zist ke paikar mein jab marbut ho jata hun main
ziist ke paikar meñ jab marbūt ho jaatā huuñ maiñ
ban ke dasht-e-lā-makāñ lāhūt ho jaatā huuñ maiñ
mere banñe kā tamāsha dekhiye ki kis tarah
TūTtā huuñ TuuT kar mazbūt ho jaatā huuñ maiñ
jaane kyā paḌh kar vo mujh par phūñktā hai zor se
dekhte hī dekhte yāqūt ho jaatā huuñ maiñ
āsmāñ se jab utartā huuñ maiñ ban ke devtā
phir gunāhoñ ke tale hārūt ho jaatā huuñ maiñ
laakh chāhūñ toḌ Dālūñ haath hī uThte nahīñ
kuchh butoñ ko dekh kar mab.hūt ho jaatā huuñ maiñ
marg-e-mabram saath le aatī hai jab jab zindagī
phir kafan lobān aur tābūt ho jaatā huuñ maiñ
zist ke paikar mein jab marbut ho jata hun main
ban ke dasht-e-la-makan lahut ho jata hun main
mere banne ka tamasha dekhiye ki kis tarah
TuTta hun TuT kar mazbut ho jata hun main
jaane kya paDh kar wo mujh par phunkta hai zor se
dekhte hi dekhte yaqut ho jata hun main
aasman se jab utarta hun main ban ke dewta
phir gunahon ke tale haarut ho jata hun main
lakh chahun toD Dalun hath hi uThte nahin
kuchh buton ko dekh kar mabhut ho jata hun main
marg-e-mabram sath le aati hai jab jab zindagi
phir kafan loban aur tabut ho jata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.