zist ki ghaDiyan kahin rote rahe hanste rahe
ziist kī ghaḌiyāñ kahīñ rote rahe hañste rahe
saade kāġhaz ke likhe ko umr bhar paḌhte rahe
zindagī tujh se ibārat hai mirī pahchān hai
ek tote kī tarah bas ye sabaq raTte rahe
nā-umīdī ke añdheroñ meñ kabhī Duube na ham
chāñd kī mānind ham baḌhte rahe ghaTte rahe
zindagī apnī guzartī kyoñ na phir ārām se
dostoñ se ham agar taufīq-bhar bachte rahe
gar na thī taqdīr meñ shāḳh-e-chaman itnā to thā
ban ke taaza phuul gul-dānoñ meñ ham sajte rahe
zist ki ghaDiyan kahin rote rahe hanste rahe
sade kaghaz ke likhe ko umr bhar paDhte rahe
zindagi tujh se ibarat hai meri pahchan hai
ek tote ki tarah bas ye sabaq raTte rahe
na-umidi ke andheron mein kabhi Dube na hum
chand ki manind hum baDhte rahe ghaTte rahe
zindagi apni guzarti kyon na phir aaram se
doston se hum agar taufiq-bhar bachte rahe
gar na thi taqdir mein shaKH-e-chaman itna to tha
ban ke taza phul gul-danon mein hum sajte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.