zist ki har rahguzar par hashr barpa chahiye
ziist kī har rahguzar par hashr barpā chāhiye
dil meñ hañgāma nigāhoñ meñ tamāshā chāhiye
āñsuoñ meñ bhī tirā jalva huvaidā chāhiye
ġham ke tūfānoñ meñ sirf itnā sahārā chāhiye
shām-e-ġham dī hai to ik tābāñ tasavvur de mujhe
maiñ añdherā kyā karūñ mujh ko ujālā chāhiye
merī hastī se barasne lag ga.ī haiñ bijliyāñ
ab tire jalvoñ ke parde par bhī pardā chāhiye
be-niyāzī aaj se karte haiñ ham bhī iḳhtiyār
un ke harbe ko unhīñ par āzmānā chāhiye
saath saath is ko liye phirtī hai kyuuñ terī talāsh
dasht kī tanhā.ī meñ dīvāna tanhā chāhiye
dil par is tartīb se ho bārish-e-lutf-o-karam
sarḳhushī kā naqsh gahrā ġham kā halqa chāhiye
jazb ho kar rah ga.ī haiñ āshiyāñ meñ bijliyāñ
ab falak ko us ke hī sho.aloñ se phūñkā chāhiye
mast ho saktā hai tū 'maḳhmūr' lekin is tarah
aañkh meñ sāġhar lab-e-rañgīñ meñ sahbā chāhiye
zist ki har rahguzar par hashr barpa chahiye
dil mein hangama nigahon mein tamasha chahiye
aansuon mein bhi tera jalwa huwaida chahiye
gham ke tufanon mein sirf itna sahaara chahiye
sham-e-gham di hai to ek taban tasawwur de mujhe
main andhera kya karun mujh ko ujala chahiye
meri hasti se barasne lag gai hain bijliyan
ab tere jalwon ke parde par bhi parda chahiye
be-niyazi aaj se karte hain hum bhi iKHtiyar
un ke harbe ko unhin par aazmana chahiye
sath sath is ko liye phirti hai kyun teri talash
dasht ki tanhai mein diwana tanha chahiye
dil par is tartib se ho barish-e-lutf-o-karam
sarKHushi ka naqsh gahra gham ka halqa chahiye
jazb ho kar rah gai hain aashiyan mein bijliyan
ab falak ko us ke hi shoalon se phunka chahiye
mast ho sakta hai tu 'maKHmur' lekin is tarah
aankh mein saghar lab-e-rangin mein sahba chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.