zist ki surat nikali hai abhi
ziist kī sūrat nikālī hai abhī
maiñ ne tauba toḌ Daalī hai abhī
joḌ kar TukḌe terī tasvīr ke
ik na.ī sūrat banā lī hai abhī
jo bhī mujh ko bhuul kar shādāb haiñ
maiñ ne un par dhuul Daalī hai abhī
zindagī aib-e-tanāfur hai magar
TukḌe kar kar ke nibhā lī hai abhī
ban ke biivī shernī ho jā.egī
dekhne meñ bholī-bhālī hai abhī
zist ki surat nikali hai abhi
main ne tauba toD Dali hai abhi
joD kar TukDe teri taswir ke
ek nai surat bana li hai abhi
jo bhi mujh ko bhul kar shadab hain
main ne un par dhul Dali hai abhi
zindagi aib-e-tanafur hai magar
TukDe kar kar ke nibha li hai abhi
ban ke biwi sherni ho jaegi
dekhne mein bholi-bhaali hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.