zist ki tarik rahon mein diya koi nahin
ziist kī tārīk rāhoñ meñ diyā koī nahīñ
is safar meñ juz ġham-e-dil rahnumā koī nahīñ
ham kisī isikandar-o-dārā kā khā.eñ kyoñ fareb
ham qalandar haiñ hamārā mudda.ā koī nahīñ
ek tum saarī ḳhudā.ī jis kī hai halqa-ba-gosh
aur mere zulmat-kade meñ dūsrā koī nahīñ
kaun is naqqār-ḳhāne meñ sunegā dosto
ik shikasta shīsha-e-dil kī sadā koī nahīñ
kis se tujh ko ai ġham-e-jānāñ bhalā tashbīh deñ
itnī dilkash to dhanak ḳhushbū sabā koī nahīñ
ai butān-e-shahr is vaz.a-e-kuhan ko kyā huā
tum meñ ab ishva-tarāz o kaj-adā koī nahīñ
maiñ ne ḳhud apnī asīrī shauq se manzūr kī
dosto sayyād kī is meñ ḳhatā koī nahīñ
ḳhāk-e-pā-e-gul-ruḳhāñ āvāra-e-kū-e-butāñ
in dinoñ 'jābir' sā mard-e-pārsā koī nahīñ
zist ki tarik rahon mein diya koi nahin
is safar mein juz gham-e-dil rahnuma koi nahin
hum kisi isikandar-o-dara ka khaen kyon fareb
hum qalandar hain hamara muddaa koi nahin
ek tum sari KHudai jis ki hai halqa-ba-gosh
aur mere zulmat-kade mein dusra koi nahin
kaun is naqqar-KHane mein sunega dosto
ek shikasta shisha-e-dil ki sada koi nahin
kis se tujh ko ai gham-e-jaanan bhala tashbih den
itni dilkash to dhanak KHushbu saba koi nahin
ai butan-e-shahr is waza-e-kuhan ko kya hua
tum mein ab ishwa-taraaz o kaj-ada koi nahin
main ne KHud apni asiri shauq se manzur ki
dosto sayyaad ki is mein KHata koi nahin
KHak-e-pa-e-gul-ruKHan aawara-e-ku-e-butan
in dinon 'jabir' sa mard-e-parsa koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.