zist ki yun to sham tak pahunche
ziist kī yuuñ to shaam tak pahuñche
ishq meñ par salām tak pahuñche
guftugū jab huī nigāhoñ meñ
vasl ke ham payām tak pahuñche
roz us kī galī meñ Thahreñ ham
kyā pata kab vo baam tak pahuñche
āḳhirash vo hue pashemāñ hī
log jo intiqām tak pahuñche
kyoñ na mil baiTh kar sulh kar leñ
mas.ala kyoñ nizām tak pahuñche
rāz-e-dil dost se bhī mat kahnā
kyā pata ye tamām tak pahuñche
daur jab intiḳhāb kā aayā
hukmarāñ tab avaam tak pahuñche
dard kuchh aur de zamāna to
shā.irī ik maqām tak pahuñche
zist ki yun to sham tak pahunche
ishq mein par salam tak pahunche
guftugu jab hui nigahon mein
wasl ke hum payam tak pahunche
roz us ki gali mein Thahren hum
kya pata kab wo baam tak pahunche
aaKHirash wo hue pasheman hi
log jo intiqam tak pahunche
kyon na mil baiTh kar sulh kar len
masala kyon nizam tak pahunche
raaz-e-dil dost se bhi mat kahna
kya pata ye tamam tak pahunche
daur jab intiKHab ka aaya
hukmaran tab awam tak pahunche
dard kuchh aur de zamana to
shairi ek maqam tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.