zist ko yun bhi raegan rakkha
ziist ko yuuñ bhī rā.egāñ rakkhā
dard kā dil meñ kārvāñ rakkhā
terī chāhat ko maar kar Thokar
ḳhud se bhī vāsta kahāñ rakkhā
ik muamma banā ke lafzoñ se
tum ne sab kuchh dhuāñ dhuāñ rakkhā
bārhā Thokareñ milī us ko
ham ne dil ko jahāñ jahāñ rakkhā
zist ko yun bhi raegan rakkha
dard ka dil mein karwan rakkha
teri chahat ko mar kar Thokar
KHud se bhi wasta kahan rakkha
ek muamma bana ke lafzon se
tum ne sab kuchh dhuan dhuan rakkha
barha Thokaren mili us ko
hum ne dil ko jahan jahan rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.