Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zist kya chiz hai aur zist ka gham kya shai hai

Barq Aashiyanvi

zist kya chiz hai aur zist ka gham kya shai hai

Barq Aashiyanvi

MORE BYBarq Aashiyanvi

    ziist kyā chiiz hai aur ziist ġham kyā shai hai

    tere bandoñ ke liye dair-o-haram kyā shai hai

    ne ab tak jo kiyā us ko karam samjhā

    ham ne jaanā nahīñ terā sitam kyā shai hai

    jo guzartā hai vo rakh detā hai us pe jabīñ

    kyā batā.ūñ ki tirā naqsh-e-qadam kyā shai hai

    ham ne tai kar hai taslīm-o-razā manzil

    ham ko ma.alūm nahīñ dard-o-alam kyā shai hai

    rind to rind haiñ ho jaate haiñ zāhid bhī asiir

    mus.haf-e-ruḳh pe siyah-zulf ḳham kyā shai hai

    terī āñkhoñ meñ do-ālam ḳhabar paḌhte haiñ

    aise rindoñ ke liye sāġhar-e-jam kyā shai hai

    maiñ to kamtar huuñ har ik zarra-e-ḳhākī se 'kalīm'

    mujh se is vus.at-e-āfāq meñ kam kyā shai hai

    zist kya chiz hai aur zist ka gham kya shai hai

    tere bandon ke liye dair-o-haram kya shai hai

    tu ne ab tak jo kiya us ko karam hi samjha

    hum ne jaana hi nahin tera sitam kya shai hai

    jo guzarta hai wo rakh deta hai us ja pe jabin

    kya bataun ki tera naqsh-e-qadam kya shai hai

    hum ne tai kar li hai taslim-o-raza ki manzil

    hum ko malum nahin dard-o-alam kya shai hai

    rind to rind hain ho jate hain zahid bhi asir

    mushaf-e-ruKH pe siyah-zulf ka KHam kya shai hai

    teri aankhon mein do-alam ki KHabar paDhte hain

    aise rindon ke liye saghar-e-jam kya shai hai

    main to kamtar hun har ek zarra-e-KHaki se 'kalim'

    mujh se is wusat-e-afaq mein kam kya shai hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now