zist mahw-e-sahab ho jaise
ziist mahv-e-sahāb ho jaise
mujh meñ terā shabāb ho jaise
is aqīdat se chup hī rahte haiñ
terī sunñā savāb ho jaise
rakh ke sar pe galī meñ bechī hai
ye mohabbat azaab ho jaise
us kī nazroñ meñ der tak dekhā
merī āñkhoñ kā ḳhvāb ho jaise
tere dar pe sukūñ nahīñ miltā
merī niyyat ḳharāb ho jaise
us ke ḳhat ko sañbhāl rakkhā hai
ik muqaddas kitāb ho jaise
aise rakhā rahā kitāboñ meñ
husn us kā gulāb ho jaise
justujū kī ye maut hai sāhab
terā milnā sarāb ho jaise
zist mahw-e-sahab ho jaise
mujh mein tera shabab ho jaise
is aqidat se chup hi rahte hain
teri sunna sawab ho jaise
rakh ke sar pe gali mein bechi hai
ye mohabbat azab ho jaise
us ki nazron mein der tak dekha
meri aankhon ka KHwab ho jaise
tere dar pe sukun nahin milta
meri niyyat KHarab ho jaise
us ke KHat ko sanbhaal rakkha hai
ek muqaddas kitab ho jaise
aise rakha raha kitabon mein
husn us ka gulab ho jaise
justuju ki ye maut hai sahab
tera milna sarab ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.