zist mein ab bahaar aai hai
ziist meñ ab bahār aa.ī hai
le ke dil kā qarār aa.ī hai
kyoñ na nāzāñ ho is pe bād-e-sabā
sehn-e-gulshan sañvār aa.ī hai
din bhī guzrā hai sogvārī meñ
raat bhī sogvār aa.ī hai
dil kī duniyā luTā ke ulfat meñ
zindagī bā-vaqār aa.ī hai
kyoñ liye jā rahe ho zindāñ meñ
kyā chaman meñ bahār aa.ī hai
talḳhī-e-zīst baḌh ga.ī 'rahbar'
zindagī meñ bahār aa.ī hai
zist mein ab bahaar aai hai
le ke dil ka qarar aai hai
kyon na nazan ho is pe baad-e-saba
sehn-e-gulshan sanwar aai hai
din bhi guzra hai sogwari mein
raat bhi sogwar aai hai
dil ki duniya luTa ke ulfat mein
zindagi ba-waqar aai hai
kyon liye ja rahe ho zindan mein
kya chaman mein bahaar aai hai
talKHi-e-zist baDh gai 'rahbar'
zindagi mein bahaar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.