zist mein kaamyab the kuchh log
ziist meñ kāmyāb the kuchh log
aap apnā javāb the kuchh log
zindagī apnī tīrgī meñ kaTī
saath meñ āftāb the kuchh log
dekh sairāb kar ga.e duniyā
jo bazāhir sarāb the kuchh log
mere 'aiboñ ko Dhāñpte the sadā
yā'nī merā naqāb the kuchh log
jin ke aage nazar na uThtī thī
yuuñ bhī 'izzat-ma.āb the kuchh log
jo farāmosh ho nahīñ paa.e
ham se ḳhāna-ḳharāb the kuchh log
ab bhī āñkheñ gavāhī detī haiñ
ḳhvāb the sirf ḳhvāb the kuchh log
ham jinheñ 'nūr' pīchhe chhoḌ aa.e
nādir-o-lā-javāb the kuchh log
zist mein kaamyab the kuchh log
aap apna jawab the kuchh log
zindagi apni tirgi mein kaTi
sath mein aaftab the kuchh log
dekh sairab kar gae duniya
jo bazahir sarab the kuchh log
mere 'aibon ko Dhanpte the sada
ya'ni mera naqab the kuchh log
jin ke aage nazar na uThti thi
yun bhi 'izzat-maab the kuchh log
jo faramosh ho nahin pae
hum se KHana-KHarab the kuchh log
ab bhi aankhen gawahi deti hain
KHwab the sirf KHwab the kuchh log
hum jinhen 'nur' pichhe chhoD aae
nadir-o-la-jawab the kuchh log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.