zist nafrat mein mohabbat gholti ab kyun nahin hai
zist nafrat mein mohabbat gholti ab kyun nahin hai
Ritesh Singh Rahil
MORE BYRitesh Singh Rahil
ziist nafrat meñ mohabbat gholtī ab kyuuñ nahīñ hai
vādiyoñ meñ ishq hai phir āshiqī ab kyuuñ nahīñ hai
ham charāġh apne bujhā kar baad meñ ḳhud pūchhte haiñ
kyuuñ añdherā hai yahāñ par raushnī ab kyuuñ nahīñ hai
chaah meñ mai kī huuñ bhaTkā mai-kadā dar mai-kadā maiñ
ab milī hai mai mujhe to tishnagī ab kyuuñ nahīñ hai
qatl hote dekhtā huuñ roz hī insāniyat kā
phir bhī ye āvāz merī mātamī ab kyuuñ nahīñ hai
vo batātī thī mujhe sab raaz us ke be-jhijhak phir
kyuuñ ḳhafā ḳhushbū huī vo boltī ab kyuuñ nahīñ hai
ik isī ummīd meñ maiñ chhup gayā thā sarḳhushī se
DhūñDh legī ye mujhe par DhūñDhtī ab kyuuñ nahīñ hai
zist nafrat mein mohabbat gholti ab kyun nahin hai
wadiyon mein ishq hai phir aashiqi ab kyun nahin hai
hum charagh apne bujha kar baad mein KHud puchhte hain
kyun andhera hai yahan par raushni ab kyun nahin hai
chah mein mai ki hun bhaTka mai-kada dar mai-kada main
ab mili hai mai mujhe to tishnagi ab kyun nahin hai
qatl hote dekhta hun roz hi insaniyat ka
phir bhi ye aawaz meri matami ab kyun nahin hai
wo batati thi mujhe sab raaz us ke be-jhijhak phir
kyun KHafa KHushbu hui wo bolti ab kyun nahin hai
ek isi ummid mein main chhup gaya tha sarKHushi se
DhunDh legi ye mujhe par DhunDhti ab kyun nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.