zist pahchan kho rahi hai tu
ziist pahchān kho rahī hai tū
qaht-sālī meñ so rahī hai tū
hijr kī shāḳh yaad kar kar ke
dasht saarā bhigo rahī hai tū
kahte haiñ ban ga.ī hai tū dhoban
kahte haiñ kapḌe dho rahī hai tū
chāñdnī pās-e-ābrū rakh ab
chāñdnī sab Dubo rahī hai tū
āb-o-gil kī hasīn aañkh batā
baat kyā hai jo ro rahī hai tū
ai mirī sāñvlī judā.ī sun
kāñTe har dam chubho rahī hai tū
hai tazabzub ki lāsh-e-'bismil' par
hañs rahī hai ki ro rahī hai tū
zist pahchan kho rahi hai tu
qaht-sali mein so rahi hai tu
hijr ki shaKH yaad kar kar ke
dasht sara bhigo rahi hai tu
kahte hain ban gai hai tu dhoban
kahte hain kapDe dho rahi hai tu
chandni pas-e-abru rakh ab
chandni sab Dubo rahi hai tu
aab-o-gil ki hasin aankh bata
baat kya hai jo ro rahi hai tu
ai meri sanwli judai sun
kanTe har dam chubho rahi hai tu
hai tazabzub ki lash-e-'bismil' par
hans rahi hai ki ro rahi hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.