zist par etibar phir aaya
ziist par e'tibār phir aaya
hasratoñ kā ġhubār phir aaya
jashn-e-fasl-e-bahār phir aaya
saath phūloñ ke ḳhaar phir aaya
zindagī Dūbtī ubhartī rahī
qulzum-e-be-kanār phir aaya
ġham se itnī rahī shanāsā.ī
be-vajah ġham pe pyaar phir aaya
raat bhar karvaTeñ badalte rahe
mausam-e-sogvār phir aaya
yād-e-māzī kī talḳhiyoñ kā 'nasīm'
zikr kyoñ baar baar phir aaya
zist par e'tibar phir aaya
hasraton ka ghubar phir aaya
jashn-e-fasl-e-bahaar phir aaya
sath phulon ke KHar phir aaya
zindagi Dubti ubharti rahi
qulzum-e-be-kanar phir aaya
gham se itni rahi shanasai
be-wajah gham pe pyar phir aaya
raat bhar karwaTen badalte rahe
mausam-e-sogwar phir aaya
yaad-e-mazi ki talKHiyon ka 'nasim'
zikr kyon bar bar phir aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.