zist takrar-e-nafas ho jaise
ziist takrār-e-nafas ho jaise
sirf jiine kī havas ho jaise
sehn-e-gulshan meñ bhī jī Dartā hai
sāya-e-gul meñ qafas ho jaise
tark-e-ulfat kī qasam khāte haiñ
dil pe insān kā bas ho jaise
vahī raftār-e-mah-o-sāl hanūz
vaqt ḳhāmosh jaras ho jaise
muntazir yuuñ bhī rahe haiñ 'māhir'
ek pal laakh baras ho jaise
zist takrar-e-nafas ho jaise
sirf jine ki hawas ho jaise
sehn-e-gulshan mein bhi ji Darta hai
saya-e-gul mein qafas ho jaise
tark-e-ulfat ki qasam khate hain
dil pe insan ka bas ho jaise
wahi raftar-e-mah-o-sal hanuz
waqt KHamosh jaras ho jaise
muntazir yun bhi rahe hain 'mahir'
ek pal lakh baras ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.