zist yun gham se ham-aghosh hui jati hai
ziist yuuñ ġham se ham-āġhosh huī jaatī hai
ishrat-e-rafta farāmosh huī jaatī hai
us ne ik baar pukārā thā harīm-e-dil se
zindagānī hama-tan-gosh huī jaatī hai
tum na uTTho mire pahlū se ḳhudārā dekho
kā.enāt āñkhoñ se rū-posh huī jaatī hai
vo udhar mujh se ḳhafā ho ke uThe haiñ to idhar
nabz-e-dil dekhiye ḳhāmosh huī jaatī hai
kasrat-e-ġham hai ki takmīl-e-junūñ hai 'salmān'
yaad bhī un kī farāmosh huī jaatī hai
zist yun gham se ham-aghosh hui jati hai
ishrat-e-rafta faramosh hui jati hai
us ne ek bar pukara tha harim-e-dil se
zindagani hama-tan-gosh hui jati hai
tum na uTTho mere pahlu se KHudara dekho
kaenat aankhon se ru-posh hui jati hai
wo udhar mujh se KHafa ho ke uThe hain to idhar
nabz-e-dil dekhiye KHamosh hui jati hai
kasrat-e-gham hai ki takmil-e-junun hai 'salman'
yaad bhi un ki faramosh hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.