zikr-e-ifa kuchh nahin wada hi wada humse hai
zikr-e-īfā kuchh nahīñ vā'da hī vā'da ham se hai
raat din shaam o sahar imroz fardā ham se hai
ham na kahte the ki ye jaur-o-jafā achchhī nahīñ
pūchh kuchh roz-e-jazā ab tum se hai yā ham se hai
dūsroñ ke kahne sunñe par na tum jaao na ham
tum se bas kahnā hamārā hai tumhārā ham se hai
sharm-e-vasl-e-ġhair se uThtī nahīñ ūñchī nazar
dard-e-sar kaisā ye sab hīla-bahāna ham se hai
kaun sī ḳhūbī hai ham meñ jis pe nāzāñ hoñ 'nasīm'
jo zamāne se burā hai vo bhī achchhā ham se hai
zikr-e-ifa kuchh nahin wa'da hi wa'da hum se hai
raat din sham o sahar imroz farda hum se hai
hum na kahte the ki ye jaur-o-jafa achchhi nahin
puchh kuchh roz-e-jaza ab tum se hai ya hum se hai
dusron ke kahne sunne par na tum jao na hum
tum se bas kahna hamara hai tumhaara hum se hai
sharm-e-wasl-e-ghair se uThti nahin unchi nazar
dard-e-sar kaisa ye sab hila-bahana hum se hai
kaun si KHubi hai hum mein jis pe nazan hon 'nasim'
jo zamane se bura hai wo bhi achchha hum se hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 158)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.