Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zikr-e-shab ke said ho gae kya

Farhat Abbas

zikr-e-shab ke said ho gae kya

Farhat Abbas

MORE BYFarhat Abbas

    zikr-e-shab ke sa.iid ho ga.e kyā

    sahar-sā.e ba.iid ho ga.e kyā

    dard kun se kashīd ho ga.e kyā

    ḳhvāb shab se ḳharīd ho ga.e kyā

    zindagī kyuuñ hai larza-bar-andām

    zalzale bhī shadīd ho ga.e kyā

    koī baaqī nahīñ tilism-e-jamāl

    ishq vaale shahīd ho ga.e kyā

    adab-ādāb ke zamāne ga.e

    silsile kuchh mazīd ho ga.e kyā

    hijr hijrat malāl ġham āsār

    zindagī naved ho ga.e kyā

    na koī maslahat na bebākī

    fard 'farhat' farīd ho ga.e kyā

    zikr-e-shab ke said ho gae kya

    sahar-sae baid ho gae kya

    dard kun se kashid ho gae kya

    KHwab shab se KHarid ho gae kya

    zindagi kyun hai larza-bar-andam

    zalzale bhi shadid ho gae kya

    koi baqi nahin tilism-e-jamal

    ishq wale shahid ho gae kya

    adab-adab ke zamane gae

    silsile kuchh mazid ho gae kya

    hijr hijrat malal gham aasar

    zindagi ki nawed ho gae kya

    na koi maslahat na bebaki

    fard 'farhat' farid ho gae kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now