zikr-e-wafa kab ek fasana hai aaj-kal
zikr-e-vafā kab ek fasāna hai āj-kal
mar ke nahīñ to jī ke dikhānā hai āj-kal
jis dil ko dekho in kā nishāna hai āj-kal
jaise inhīñ butoñ kā zamāna hai āj-kal
kis kī zabāñ pe zikr mire 'ishq kā nahīñ
dekho na ek lafz fasāna hai āj-kal
mujh ko miTā ke is tarah se mutma.in vo haiñ
jaise savāb zulm kā Dhānā hai āj-kal
marnā dalīl-e-amn hai takmīl-e-amn hai
jiinā mirī nazar meñ bahāna hai āj-kal
mujh ko satā ke dekh le ai nā-sipās vaqt
mere liye malāl tarāna hai āj-kal
zulfoñ ke bal nikāl na de to sahī huzūr
har-chand dast-e-nāznīñ shānā hai āj-kal
tujh ko hañsī na aa.egī to kis ko aa.egī
ai inqilāb terā zamāna hai āj-kal
ham aur dil kī baat kaheñ tauba kījiye
ḳhud jumbish-e-nigāh fasāna hai āj-kal
'rāfat' hamīñ ko ḳhud nahīñ islāh kī tamīz
kyoñ kahiye kajravī pe zamāna hai āj-kal
zikr-e-wafa kab ek fasana hai aaj-kal
mar ke nahin to ji ke dikhana hai aaj-kal
jis dil ko dekho in ka nishana hai aaj-kal
jaise inhin buton ka zamana hai aaj-kal
kis ki zaban pe zikr mere 'ishq ka nahin
dekho na ek lafz fasana hai aaj-kal
mujh ko miTa ke is tarah se mutmain wo hain
jaise sawab zulm ka Dhana hai aaj-kal
marna dalil-e-amn hai takmil-e-amn hai
jina meri nazar mein bahana hai aaj-kal
mujh ko sata ke dekh le ai na-sipas waqt
mere liye malal tarana hai aaj-kal
zulfon ke bal nikal na de to sahi huzur
har-chand dast-e-naznin shana hai aaj-kal
tujh ko hansi na aaegi to kis ko aaegi
ai inqilab tera zamana hai aaj-kal
hum aur dil ki baat kahen tauba kijiye
KHud jumbish-e-nigah fasana hai aaj-kal
'rafat' hamin ko KHud nahin islah ki tamiz
kyon kahiye kajrawi pe zamana hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.