zikr-e-wafa pe kahte hain teri wafa hai kya
zikr-e-vafā pe kahte haiñ terī vafā hai kyā
ma.alūm hai ki ishq meñ us kī sazā hai kyā
miltā hai be-talab to talab aur duā hai kyā
suniye tarīq shukr kā is ke sivā hai kyā
murda diloñ se koī tavaqqo' fuzūl hai
mar kar bhī aaj tak koī zinda huā hai kyā
tum to tumhīñ ho aa.ina jo chāhe vo kahe
ahl-e-nazar ke sāmne bahrūpiyā hai kyā
bantā hai qalb naqd to hotā hai naqd qalb
vo sīmiyā hai us kī nazar kīmiyā hai kyā
har shai meñ jalva-gar hai tū har shai se be-niyāz
kyūñkar pata chale ki sivā mā-sivā hai kyā
āñkhoñ meñ ashk rang-e-parīda havās gum
ai nāma-bar batā to sahī mājrā hai kyā
do chaar jaam de to diye mohtasib tujhe
tauba kā aur is ke sivā ḳhūñ-bahā hai kyā
har har nafas nafas nahīñ bāñg-e-rahīl hai
ahl-e-ḳhirad ke vāste bāñg-e-darā hai kyā
qaa.em hai us kī samt na laġhzish na iztirāb
merī jabīñ ke sāmne qibla-numā hai kyā
kashtī ḳhudā pe chhoḌ de ai mīr-e-kārvāñ
tūfān kis ko kahte haiñ aur nāḳhudā hai kyā
'shāġhil' qamar ke husn-e-mohabbat kā hai asar
varna sharāb-e-sher meñ baaqī nasha hai kyā
zikr-e-wafa pe kahte hain teri wafa hai kya
malum hai ki ishq mein us ki saza hai kya
milta hai be-talab to talab aur dua hai kya
suniye tariq shukr ka is ke siwa hai kya
murda dilon se koi tawaqqo' fuzul hai
mar kar bhi aaj tak koi zinda hua hai kya
tum to tumhin ho aaina jo chahe wo kahe
ahl-e-nazar ke samne bahrupiya hai kya
banta hai qalb naqd to hota hai naqd qalb
wo simiya hai us ki nazar kimiya hai kya
har shai mein jalwa-gar hai tu har shai se be-niyaz
kyunkar pata chale ki siwa ma-siwa hai kya
aankhon mein ashk rang-e-parida hawas gum
ai nama-bar bata to sahi majra hai kya
do chaar jam de to diye mohtasib tujhe
tauba ka aur is ke siwa KHun-baha hai kya
har har nafas nafas nahin bang-e-rahil hai
ahl-e-KHirad ke waste bang-e-dara hai kya
qaem hai us ki samt na laghzish na iztirab
meri jabin ke samne qibla-numa hai kya
kashti KHuda pe chhoD de ai mir-e-karwan
tufan kis ko kahte hain aur naKHuda hai kya
'shaghil' qamar ke husn-e-mohabbat ka hai asar
warna sharab-e-sher mein baqi nasha hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.