zikr-e-visal maut ka paigham ho gaya
zikr-e-visāl maut kā paiġhām ho gayā
aisī ḳhushī huī ki mirā kaam ho gayā
maiñ mast-e-chashm-e-sāqī-e-gulfām ho gayā
āñkhoñ kā Dorā Dorā ḳhat-e-jām ho gayā
shab tum kahīñ rahe tumheñ kuchh kaam ho gayā
lo haath laao kyoñ hameñ ilhām ho gayā
kunj-e-lahad meñ roī mirī bekasī mujhe
maTiyā-mahal ke goshe meñ kohrām ho gayā
koThī pe tum chaḌhe jo sar-e-shām be-naqāb
ġhairat se āftāb lab-e-bām ho gayā
be-vaj.h surḳhī-e-lab-e-qātil ġhalat ġhalat
iisā shahīd-e-lazzat-e-dushnām ho gayā
ham ibtidā-e-umr meñ us but pe mar-miTe
āġhāz hī meñ ḳhair se anjām ho gayā
chhāle haiñ teġh-e-yār meñ bismil hai saḳht jaan
sil ho ga.ī use use sarsām ho gayā
hai ye namak kā paas ki kahte haiñ mere zaḳhm
bhar paayā ham ne sab hameñ ārām ho gayā
allāh re ye qadr bikā kauḌiyoñ ke mol
terā shahīd hūroñ meñ nīlām ho gayā
piirī meñ shauq-e-dīd-e-butāñ ho gayā harām
tār-e-nigāh jāma-e-ehrām ho gayā
farmāñ-barī ne da.ave ḳhudā.ī ke kho diye
allāh terī shaan vo but raam ho gayā
bhaḌkā diyā hai soz-e-darūñ chashm-e-zār ne
āñkhoñ kā tel roġhan-e-bādām ho gayā
merī tarah hai tā.ir-e-rang-e-hinā asiir
sayyād tere haath kā ḳhat daam ho gayā
rakh lī ḳhudā ne ḳhanjar-e-qātil se aabrū
'rāsiḳh' balā se jaan ga.ī naam ho gayā
zikr-e-visal maut ka paigham ho gaya
aisi KHushi hui ki mera kaam ho gaya
main mast-e-chashm-e-saqi-e-gulfam ho gaya
aankhon ka Dora Dora KHat-e-jam ho gaya
shab tum kahin rahe tumhein kuchh kaam ho gaya
lo hath lao kyon hamein ilham ho gaya
kunj-e-lahad mein roi meri bekasi mujhe
maTiya-mahal ke goshe mein kohram ho gaya
koThi pe tum chaDhe jo sar-e-sham be-naqab
ghairat se aaftab lab-e-baam ho gaya
be-wajh surKHi-e-lab-e-qatil ghalat ghalat
isa shahid-e-lazzat-e-dushnam ho gaya
hum ibtida-e-umr mein us but pe mar-miTe
aaghaz hi mein KHair se anjam ho gaya
chhaale hain tegh-e-yar mein bismil hai saKHt jaan
sil ho gai use use sarsam ho gaya
hai ye namak ka pas ki kahte hain mere zaKHm
bhar paya hum ne sab hamein aaram ho gaya
allah re ye qadr bika kauDiyon ke mol
tera shahid huron mein nilam ho gaya
piri mein shauq-e-did-e-butan ho gaya haram
tar-e-nigah jama-e-ehram ho gaya
farman-bari ne dawe KHudai ke kho diye
allah teri shan wo but ram ho gaya
bhaDka diya hai soz-e-darun chashm-e-zar ne
aankhon ka tel roghan-e-baadam ho gaya
meri tarah hai tair-e-rang-e-hina asir
sayyaad tere hath ka KHat dam ho gaya
rakh li KHuda ne KHanjar-e-qatil se aabru
'rasiKH' bala se jaan gai nam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.