Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zikr humse be-talab ka kya talabgari ke din

Abdul Ahad Saaz

zikr humse be-talab ka kya talabgari ke din

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    zikr ham se be-talab kyā talabgārī ke din

    tum hameñ sochoge ik din ḳhud se be-zārī ke din

    munhamik masrūf ek ik kaam nimTāte hue

    saaf se raushan se ye chalne tayyārī ke din

    roz ik bujhtī huī sīlan bhare kamre shaam

    khiḌkiyoñ meñ roz murjhāte ye bīmārī ke din

    nam nashīlī sā.atoñ sard zahrīlī raat

    ḳhvāb hote rahe hoñ jaise bedārī ke din

    hāfize sust-rau lahroñ meñ halchal kyā huī

    jaag uTThe dhaḌkanoñ tez-raftārī ke din

    zehan ke sahrā meñ uThtā ik bagūla kabhī

    gaahe gaahe kār-āmad se ye bekārī ke din

    dam-ba-dam tahlīl hotā huā manzar bojh

    sahl se hote hue palkoñ pe dushvārī ke din

    umr ke bāzār had par navādir dukāñ

    kuchh parakhte dekhte chunte ḳharīdārī ke din

    rah ga.ī kāġhaz pe khiñch kar lafz se aarī lakīr

    'sāz' shāyad bhar ga.e haiñ ab mire qaarī ke din

    zikr hum se be-talab ka kya talabgari ke din

    tum hamein sochoge ek din KHud se be-zari ke din

    munhamik masruf ek ek kaam nimTate hue

    saf se raushan se ye chalne ki tayyari ke din

    roz ek bujhti hui silan bhare kamre ki sham

    khiDkiyon mein roz murjhate ye bimari ke din

    nam nashili saaton ki sard zahrili si raat

    KHwab hote ja rahe hon jaise bedari ke din

    hafize ki sust-rau lahron mein halchal kya hui

    jag uTThe dhaDkanon ki tez-raftari ke din

    zehan ke sahra mein uThta ek bagula sa kabhi

    gahe gahe kar-amad se ye bekari ke din

    dam-ba-dam tahlil sa hota hua manzar ka bojh

    sahl se hote hue palkon pe dushwari ke din

    umr ke bazar ki had par nawadir ki dukan

    kuchh parakhte dekhte chunte KHaridari ke din

    rah gai kaghaz pe khinch kar lafz se aari lakir

    'saz' shayad bhar gae hain ab mere qari ke din

    Source :
    • Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 28)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now