zikr har subh-o-sham hota hai
zikr har sub.h-o-shām hotā hai
lab pe terā hī naam hotā hai
dil kī hālat ajiib hotī hai
jab bhī un se kalām hotā hai
raah meñ us kā is tarah milnā
sar jhukā kar salām hotā hai
aap par jaan dene vāloñ meñ
sar-ba-fihrist naam hotā hai
un kā aalam bhī ḳhuub aalam hai
dast meñ jin ke jaam hotā hai
tere kūche se jo guzartā hai
chaar sū us kā naam hotā hai
saarā aalam 'hilāl' gul ho jaa.e
ishq meñ ik maqām hotā hai
zikr har subh-o-sham hota hai
lab pe tera hi nam hota hai
dil ki haalat ajib hoti hai
jab bhi un se kalam hota hai
rah mein us ka is tarah milna
sar jhuka kar salam hota hai
aap par jaan dene walon mein
sar-ba-fihrist nam hota hai
un ka aalam bhi KHub aalam hai
dast mein jin ke jam hota hai
tere kuche se jo guzarta hai
chaar su us ka nam hota hai
sara aalam 'hilal' gul ho jae
ishq mein ek maqam hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.