zikr jis ka sahar-o-sham se wabasta hai
zikr jis kā sahar-o-shām se vābasta hai
raushnī zehn kī us naam se vābasta hai
jaise zarra kabhī sūraj ke muqābil aa jaa.e
yuuñ mirā naam tire naam se vābasta hai
din ke sahrā meñ bahut der se shaam aatī hai
us se milne kī duā shaam se vābasta hai
dard-mandī bhī mohabbat bhī ravādārī bhī
kaam kitnā dil-e-nākām se vābasta hai
zindagī zad pe rahī shauq-e-ziyā-pāshī meñ
ye rivāyat bhī mire naam se vābasta hai
zikr jis ka sahar-o-sham se wabasta hai
raushni zehn ki us nam se wabasta hai
jaise zarra kabhi suraj ke muqabil aa jae
yun mera nam tere nam se wabasta hai
din ke sahra mein bahut der se sham aati hai
us se milne ki dua sham se wabasta hai
dard-mandi bhi mohabbat bhi rawadari bhi
kaam kitna dil-e-nakaam se wabasta hai
zindagi zad pe rahi shauq-e-ziya-pashi mein
ye riwayat bhi mere nam se wabasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.