zikr mera aur tere lab par yaad meri aur tere dil mein
zikr mirā aur tere lab par yaad mirī aur tere dil meñ
jhūTī aas dilāne vaale aag na bhaḌkā mere dil meñ
mujh se āñkheñ pher ke tū ne ye mushkil bhī āsāñ kar dī
varna tere ġham ke badle letā kaun basere dil meñ
pyār-bharī ummīdoñ par aġhyār kī vo zar-posh nigāheñ
kāñToñ ke paivand lagā kar tū ne phuul bikhere dil meñ
pūchh rahī hai duniyā mujh se vo harjā.ī chāñd kahāñ hai
dil kahtā hai ġhair ke bas meñ maiñ kahtā huuñ mere dil meñ
kaash kabhī saffāk zamāna merā siina chiir ke dekhe
chain ke badle dard ne ab to Daal diye haiñ Dere dil meñ
Darte Darte soch rahā huuñ vo mere haiñ ab bhī shāyad
varna kaun kiyā kartā hai yuuñ pheroñ par phere dil meñ
pyaar kī pahlī manzil par anjān musāfir dekh rahā hai
āñkhoñ meñ sañgīn ujāle aur sayyāl añdhere dil meñ
ujḌī yaado TuuTe sapno shāyad kuchh mālūm ho tum ko
kaun uThātā hai rah rah kar Tīseñ shām-savere dil meñ
zikr mera aur tere lab par yaad meri aur tere dil mein
jhuTi aas dilane wale aag na bhaDka mere dil mein
mujh se aankhen pher ke tu ne ye mushkil bhi aasan kar di
warna tere gham ke badle leta kaun basere dil mein
pyar-bhari ummidon par aghyar ki wo zar-posh nigahen
kanTon ke paiwand laga kar tu ne phul bikhere dil mein
puchh rahi hai duniya mujh se wo harjai chand kahan hai
dil kahta hai ghair ke bas mein main kahta hun mere dil mein
kash kabhi saffak zamana mera sina chir ke dekhe
chain ke badle dard ne ab to Dal diye hain Dere dil mein
Darte Darte soch raha hun wo mere hain ab bhi shayad
warna kaun kiya karta hai yun pheron par phere dil mein
pyar ki pahli manzil par anjaan musafir dekh raha hai
aankhon mein sangin ujale aur sayyal andhere dil mein
ujDi yaado TuTe sapno shayad kuchh malum ho tum ko
kaun uThata hai rah rah kar Tisen sham-sawere dil mein
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 62)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.