zikr-o-wird-o-dua se behtar hai
zikr-o-vird-o-duā se behtar hai
mai-kashī har riyā se behtar hai
koī batlāo in hasīnoñ meñ
kaun us be-vafā se behtar hai
dil hī vaalā kuchh us ko jaane hai
qahr terā atā se behtar hai
soz-e-ġham meñ batāiye dil ko
nusḳha ye kīmiyā se behtar hai
kab kisī ishq ke fasāne kī
intihā ibtidā se behtar hai
ai mire chāra-sāz rahne de
ye maraz to shifā se behtar hai
aap itnā to jānte hoñge
lutf jaur-o-jafā se behtar hai
phir vahī lāl-e-nosh-e-lab ai dost
haal kuchh is davā se behtar hai
dushmanī bad sahī magar ye shai
be-ruḳhī kī sazā se behtar hai
ham ko to ye azāb-e-dīda-varī
dosto har jazā se behtar hai
dekh vo ek saada pairāhan
kitne rangīñ-qabā se behtar hai
saaf inkār ai vafā-dushman
is fareb-e-adā se behtar hai
rahzanoñ se ye bach ke chaltā hai
rāh-rau rahnumā se behtar hai
laao 'jābir' vo shai jo duniyā meñ
is dil-e-mubtalā se behtar hai
zikr-o-wird-o-dua se behtar hai
mai-kashi har riya se behtar hai
koi batlao in hasinon mein
kaun us be-wafa se behtar hai
dil hi wala kuchh us ko jaane hai
qahr tera ata se behtar hai
soz-e-gham mein bataiye dil ko
nusKHa ye kimiya se behtar hai
kab kisi ishq ke fasane ki
intiha ibtida se behtar hai
ai mere chaara-saz rahne de
ye maraz to shifa se behtar hai
aap itna to jaante honge
lutf jaur-o-jafa se behtar hai
phir wahi lal-e-nosh-e-lab ai dost
haal kuchh is dawa se behtar hai
dushmani bad sahi magar ye shai
be-ruKHi ki saza se behtar hai
hum ko to ye azab-e-dida-wari
dosto har jaza se behtar hai
dekh wo ek sada pairahan
kitne rangin-qaba se behtar hai
saf inkar ai wafa-dushman
is fareb-e-ada se behtar hai
rahzanon se ye bach ke chalta hai
rah-rau rahnuma se behtar hai
lao 'jabir' wo shai jo duniya mein
is dil-e-mubtala se behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.