zikr shabbir se nikal aaya
zikr shabbīr se nikal aayā
ḳhuun tahrīr se nikal aayā
hai ġharībī kī fasl-e-gul ki samar
chhat ke shahtīr se nikal aayā
raqs meñ yuuñ lage mujhe jaise
jism zanjīr se nikal aayā
merī qismat to dekhiye sāhab
ḳhvāb ta.abīr se nikal aayā
le ke apnī kamān-o-teġh-o-sipar
sāya-e-pīr se nikal aayā
uzr-e-taḳhrīb-gar pas-e-parda
shauq-e-ta.amīr se nikal aayā
merī tanhā.ī bāñTne 'rāhat'
aks tasvīr se nikal aayā
zikr shabbir se nikal aaya
KHun tahrir se nikal aaya
hai gharibi ki fasl-e-gul ki samar
chhat ke shahtir se nikal aaya
raqs mein yun lage mujhe jaise
jism zanjir se nikal aaya
meri qismat to dekhiye sahab
KHwab tabir se nikal aaya
le ke apni kaman-o-tegh-o-sipar
saya-e-pir se nikal aaya
uzr-e-taKHrib-gar pas-e-parda
shauq-e-tamir se nikal aaya
meri tanhai banTne 'rahat'
aks taswir se nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.