zillat hai jo phailā.e bashar pesh-e-digar haath
yārab na kabhī haath kā ho dast-nigar haath
panja kareñ ḳhurshīd se bedāroñ kī palkeñ
furqat kī shab aa jaa.e jo dāmān-e-sahar haath
haiñ sāhib-e-sar-panja ra.īsoñ ko nachāte
sar par jo paḌe choT to hotā hai sipar haath
jī meñ hai kahūñ un se ki huuñ dast-girafta
vo sun ke ḳhajil hoñ jo kaheñ laao idhar haath
kyā duzd-e-hinā haath lagā sīm-baroñ ko
dil haath se le jaatā hai chorī se vo har haath
ḳhurshīd ke panje se ishāra hai ki aaqil
allāh kī jānib ko uThā vaqt-e-sahar haath
zillat hai jo phailae bashar pesh-e-digar hath
yarab na kabhi hath ka ho dast-nigar hath
panja karen KHurshid se bedaron ki palken
furqat ki shab aa jae jo daman-e-sahar hath
hain sahib-e-sar-panja raison ko nachate
sar par jo paDe choT to hota hai sipar hath
ji mein hai kahun un se ki hun dast-girafta
wo sun ke KHajil hon jo kahen lao idhar hath
kya duzd-e-hina hath laga sim-baron ko
dil hath se le jata hai chori se wo har hath
KHurshid ke panje se ishaara hai ki aaqil
allah ki jaanib ko uTha waqt-e-sahar hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.