zinda-dili nishana-e-tahqir kis liye
zinda-dilī nishāna-e-tahqīr kis liye
khiñchtī nahīñ hayāt kī tasvīr kis liye
shāḳh-e-shajar pe hotī to kuchh aur baat thī
maujoñ pe āshiyāne kī ta.amīr kis liye
kyā tū ne pairvī-e-nabī chhoḌ dī hai ab
be-faiz ho ga.ī tirī taqrīr kis liye
ahl-e-shu.ūr jo the vo pastī meñ kho ga.e
be-Dhang log pā ga.e tauqīr kis liye
tūfān kā ḳhayāl hai yā zalzale kā ḳhauf
tere laboñ pe nāla-e-shab-gīr kis liye
mash.hūr thiiñ zamāne meñ shīrīñ-bayāniyāñ
ab kho ga.ī zabān kī tāsīr kis liye
tā-sub.h tū ne ḳhvāb hī dekhā na raat ko
phir pūchhtā hai ḳhvāb kī ta.abīr kis liye
manzil hai 'dāġh' sāmne apne qadam baḌhāo
tum dekhte ho jānib-e-rah-gīr kis liye
zinda-dili nishana-e-tahqir kis liye
khinchti nahin hayat ki taswir kis liye
shaKH-e-shajar pe hoti to kuchh aur baat thi
maujon pe aashiyane ki tamir kis liye
kya tu ne pairwi-e-nabi chhoD di hai ab
be-faiz ho gai teri taqrir kis liye
ahl-e-shuur jo the wo pasti mein kho gae
be-Dhang log pa gae tauqir kis liye
tufan ka KHayal hai ya zalzale ka KHauf
tere labon pe nala-e-shab-gir kis liye
mashhur thin zamane mein shirin-bayaniyan
ab kho gai zaban ki tasir kis liye
ta-subh tu ne KHwab hi dekha na raat ko
phir puchhta hai KHwab ki tabir kis liye
manzil hai 'dagh' samne apne qadam baDhao
tum dekhte ho jaanib-e-rah-gir kis liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.