zinda hain hum to aaj bhi wahm-o-guman ke bich
zinda haiñ ham to aaj bhī vahm-o-gumāñ ke biich
umr-e-ravāñ kaTī mirī sūd-o-ziyāñ ke biich
un ke to qaul-o-fe.al meñ behad tazād hai
vo jhuuT kahte phirte haiñ saare jahāñ ke biich
dil ko yaqīñ hai bhuul na pā.eñge ham ko vo
DhūñDā kareñge ham ko bhī vo raftagāñ ke biich
ham ne to saath dene kā va.ada nahīñ kiyā
mahv-e-safar rahe the faqat kārvāñ ke biich
chain-o-sukūn luuT ke ārām le gayā
aa.egā us kā zikr mirī dāstāñ ke biich
ham ne 'shagufta' duur Thikāna banā liyā
vo ham ko DhūñDtā hī rahā gulsitāñ ke biich
zinda hain hum to aaj bhi wahm-o-guman ke bich
umr-e-rawan kaTi meri sud-o-ziyan ke bich
un ke to qaul-o-feal mein behad tazad hai
wo jhuT kahte phirte hain sare jahan ke bich
dil ko yaqin hai bhul na paenge hum ko wo
DhunDa karenge hum ko bhi wo raftagan ke bich
hum ne to sath dene ka wada nahin kiya
mahw-e-safar rahe the faqat karwan ke bich
chain-o-sukun luT ke aaram le gaya
aaega us ka zikr meri dastan ke bich
hum ne 'shagufta' dur Thikana bana liya
wo hum ko DhunDta hi raha gulsitan ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.