zinda haqiqaton ko chhupaya na jaega
zinda haqīqatoñ ko chhupāyā na jā.egā
har vāqi.a fasāna banāyā na jā.egā
ai daur-e-inqilāb kī aamad ke muntazir
sochoñ se inqilāb to laayā na jā.egā
ilzām-e-bevafā.ī diyā jā.egā magar
tafrīq-e-ḳhār-o-gul ko miTāyā na jā.egā
lutf-e-ġham-e-hayāt agar miT gayā to kyā
naqsh-e-ġham-e-hayāt miTāyā na jā.egā
sastī ġhazal sunā ke kisī bazm meñ 'vaqār'
apnā vaqār-e-sher girāyā na jā.egā
zinda haqiqaton ko chhupaya na jaega
har waqia fasana banaya na jaega
ai daur-e-inqilab ki aamad ke muntazir
sochon se inqilab to laya na jaega
ilzam-e-bewafai diya jaega magar
tafriq-e-KHar-o-gul ko miTaya na jaega
lutf-e-gham-e-hayat agar miT gaya to kya
naqsh-e-gham-e-hayat miTaya na jaega
sasti ghazal suna ke kisi bazm mein 'waqar'
apna waqar-e-sher giraya na jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.